Taashshuq Lakhnavi

na Dare barq se dil ki hai kaDi meri aankh

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
na Dare barq se dil kī hai kaḌī merī aañkh
us kī zanjīr-e-talā.ī se laḌī merī aañkh
apne bīmār ko rakhtī hai chhupā kar tah-e-ḳhāk
kahte haiñ sāhab-e-ġhairat hai baḌī merī aañkh
ḳhaak meñ mil ke ayaañ huuñ gul-e-nargis ban kar
dekh le gar tirī phūloñ kī chhaḌī merī aañkh
is tarah zab.h kiyā teġh-e-nigah se mujh ko
ḳhud vo kahte haiñ ki zālim hai baḌī merī aañkh
dil meñ hai kuchh asar-e-josh-e-mohabbat ab tak
tar huī dekh ke sāvan kī jhaḌī merī aañkh
hasrat-e-dīd meñ pathrā ke banī sañg-e-dar
na haTī phir tire dar par jo aḌī merī aañkh
raat bhar ashk ke dānoñ pe ginā kartī hai
furqat-e-yār meñ ek ek ghaḌī merī aañkh
dil ke TukḌe mirī palkoñ meñ jo dekhā to kahā
jāntī thī inheñ phūloñ kī chhaḌī merī aañkh
rakh liye pesh-e-hubāb-e-lab-e-jū muñh par haath
nazar aa.ī unheñ dariyā meñ paḌī merī aañkh
dauḌ kar mujh se gale mil ga.e milte hī nazar
dil kī taqdīr laḌī yā ki laḌī merī aañkh
ai shab-e-vasl na ma.alūm ye kyā kar ga.ī tū
band hotī nahīñ ab koī ghaḌī merī aañkh
kahte haiñ aañkh laḌāte hī tū patthar ban jaa.e
hai tirā dil to bahut narm kaḌī merī aañkh
yād-e-ḳhāl-e-ruḳh-e-jānāñ kī madad se nāseh
shab furqat ke sitāroñ se laḌī merī aañkh
ho ga.ī fart-e-nazākat se hayā kī shohrat
aa gayā un ko pasīna jo laḌī merī aañkh
hai jo ashkoñ meñ udāhaT to na ghabrā ai dil
roī hai dekh ke missī kī dhaḌī merī aañkh
Top Urdushayar.com