tā-sahar kī hai fuġhāñ jaan ke ġhāfil mujh ko
raat bhar aaj pukārā hai mirā dil mujh ko
dard-o-ġham se jo tapāñ thā vo milā dil mujh ko
is liye dafn kiyā hai lab-e-sāhil mujh ko
bār-e-husn aap se lailā kā uThāyā na gayā
na liyā qais ne jis ko vo milā dil mujh ko
ġhair phir ġhair haiñ āḳhir haiñ phir apne apne
yaad kartā hai tire paas mirā dil mujh ko
bār-e-ḳhātir hī agar hai to ināyat kiije
aap ko husn mubārak ho mirā dil mujh ko
fasl-e-gul aate hī sahrā-e-adam ko pahuñchā
rokte rah ga.e aġhlāl-o-salāsil mujh ko
mar gayā ashk jo āñkhoñ se bahe aah ke saath
aa ga.ī niiñd havā meñ lab-e-sāhil mujh ko
kyā adāvat hai ki jis din se huā huuñ zaḳhmī
dekh jaatā hai vo rashk-e-mah-e-kāmil mujh ko
shab ko tum soī thī kyā sū-e-falak muñh kar ke
nazar aayā na sahar tak mah-e-kāmil mujh ko
paañv tak zulf tirī yaar baḌh aa.ī shāyad
aaj bhārī nazar aatī hai salāsil mujh ko
asar-e-zo.af se huuñ qatra-e-ashk-e-ḳhūnī
rahm kar de kafan-e-dāman-e-qātil mujh ko