kis taraf se aa rahī haiñ dard kī purvā.iyāñ
aag sī dene lagī haiñ bhīgtī añgnā.iyāñ
maiñ kahāñ thā jab farishtoñ ne ḳhushī insāñ ko dī
kyuuñ mire hisse meñ aa.eñ sirf ashk-ārā.iyāñ
ye shabāb-o-husn terā aur ye nāz-o-adā
TūTtī haiñ donoñ hāthoñ se tirī añgḌā.iyāñ
maiñ kahāñ jā kar chhupūñ ai gardish-e-daurāñ batā
DhūñD letī haiñ mujhe har-jā mirī rusvā.iyāñ
ik shikasta saaz hai aur ik sadā-e-dard-e-dil
ham haiñ tum ho bekasī hai ġham hai aur tanhā.iyāñ
mujh ko chāra do davā mat de maiñ jī kar kyā karūñ
ye duā kar mujh ko Das leñ maut kī parchhā.iyāñ
ham ne kyā sochā thā aur 'sīmāb' ye kyā ho gayā
bajte bajte ruk ga.iiñ kyuuñ sab kī sab shahnā.iyāñ