allāh de sake to de aisī zabāñ mujhe
apnā samajh ke dil se lagā le jahāñ mujhe
sehn-e-chaman se jab bhī uThā hai dhuāñ kabhī
yaad aa ke rah gayā hai mirā āshiyāñ mujhe
ḳhār-e-nafas ne mujh ko na sone diyā kabhī
ik umr maut detī rahī loriyāñ mujhe
maiñ ik charāġh laakh charāġhoñ meñ baT gayā
rakkhā jo ā.inoñ ne kabhī darmiyāñ mujhe
maiñ aane vaale qāfile kā miir ban gayā
chhoḌā thā sāthiyoñ ne pas-e-kārvāñ mujhe
har mauj se ulajhtī huī kheltī huī
sāhil pe laa.ī kashti-e-umr-e-ravāñ mujhe
'sīmāb' dasht-e-zīst se maiñ kyā karūñ gila
baḳhshī haiñ bastiyoñ ne bhī vīrāniyāñ mujhe