Mushafi Ghulam Hamdani

tera shauq-e-didar paida hua hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tirā shauq-e-dīdār paidā huā hai
phir is dil ko āzār paidā huā hai
sadā paan khā khā ke nikle hai bāhar
zamāne meñ ḳhūñ-ḳhvār paidā huā hai
ye madfan hai kis kā jo har laala yaañ se
jigar-ḳhūñ dil-afgār paidā huā hai
uḌaa.e haiñ laḳht-e-jigar aah ne jab
havā meñ bhī gulzār paidā huā hai
maiñ kyūñkar na rakhkhūñ aziiz apne dil ko
kahīñ dil sā bhī yaar paidā huā hai
kahe thī ye tiflī meñ dekh us ko daaya
ye laḌkā tarah-dār paidā huā hai
maiñ aayā huuñ muddat meñ koī us se kah do
tumhārā gunahgār paidā huā hai
ye dil mujh se laḌtā hai terī taraf se
kahāñ kā taraf-dār paidā huā hai
miyāñ 'mus.hafī' bechte ho jo dil ko
to laao ḳharīdār paidā huā hai
Top Urdushayar.com