Mushafi Ghulam Hamdani

ghazal kahne ka kis ko Dhab raha hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ġhazal kahne kā kis ko Dhab rahā hai
vo rutba ishq kā ab kab rahā hai
bashāshat barg-e-gul meñ hai jo itnī
kisī ke lab par us kā lab rahā hai
mushavvash shakl se us gul kī zāhir
ye hotā hai kahīñ vo shab rahā hai
parastish hī meñ shab āḳhir huī hai
hamāre paas vo but jab rahā hai
tumhāre ahd meñ ai kāfiro haa.e
kahāñ vo millat o maz.hab rahā hai
mirā zaanū tire zaanū ke nīche
uThūñ kyūñ-kar ki kāfir dab rahā hai
ise kab nāz-e-bustāñ kī havas hai
ye dil nit kushta-e-ġhabġhab rahā hai
mū-e-juz 'mīr' jo the fan ke ustād
yahī ik reḳhta-go ab rahā hai
nit us kī 'mus.hafī' khātā huuñ dushnām
yahī to merā ab mansab rahā hai
Top Urdushayar.com