Mushafi Ghulam Hamdani

nasim-e-subh-e-chaman se idhar nahin aati

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
nasīm-e-sub.h-e-chaman se idhar nahīñ aatī
hazār haif ki gul kī ḳhabar nahīñ aatī
rakkhe hai ā.īna kyā muñh pe mere ai hamdam
ki zindagī mujhe apnī nazar nahīñ aatī
bhaTaktī phirtī hai lailā savār naaqe par
jidhar hai vādī-e-majnūñ udhar nahīñ aatī
kamar hī ko tirī parvā nahīñ hai kuchh us kī
vagarna ja.ad to kab tā-kamar nahīñ aatī
tirī shabīh mire sāmne khaḌī hai miyāñ
hayā ke maare vale peshtar nahīñ aatī
huā huuñ aah maiñ jis pur-ġhurūr par āshiq
kanīz us kī kabhī mere ghar nahīñ aatī
qalaq se hotī hai kuchh dil kī mere ye hālat
ki niiñd raat ko do do pahar nahīñ aatī
shab-e-visāl kab aatī hai mere ghar ai charḳh
ki us ke pīchhe se dauḌī sahar nahīñ aatī
gayā hai ġham mire naame ko le ke kuchh aisā
ki aaj tak ḳhabar naama bar nahīñ aatī
ḳhirām fitna-e-roz-e-jazā ba-īñ shoḳhī
tire ḳhirām ke ohde se bar nahīñ aatī
maiñ tark-e-ishq ko kahtā huuñ 'mus.hafī' tujh se
ye baat dhyān meñ tere magar nahīñ aatī
Top Urdushayar.com