Mushafi Ghulam Hamdani

ye dil wo shisha hai jhamke hai wo pari jis mein

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ye dil vo shīsha hai jhamke hai vo parī jis meñ
bharā hai mū-e-ba-mū sehr-e-sāmrī jis meñ
ye la.al-e-laḳht-e-jigar hai vo la.al-e-besh-bahā
ki kaam kartī nahīñ chashm-e-jauharī jis meñ
diyā hai maiñ ne dil aise ko aur pareshāñ huuñ
na mehr hai na mohabbat na dilbarī jis meñ
ḳhudā do-chār na ham se kare kabhī us ko
nikaltī ho tirī āñkhoñ se kāfirī jis meñ
haTe hai 'mānī' se lailā ki vo varaq to dikhā
likhī hai sūrat-e-majnūñ kī lāġharī jis meñ
ġhazab hai tū ne na dekhā vahī mirā dil thā
bañdhī huī thī tire tiir kī sirī jis meñ
kisī se kaam miyāñ-'mus.hafī' na kuchh rakhiye
vo kaam kījiye ho apnī behtarī jis meñ
Top Urdushayar.com