Mushafi Ghulam Hamdani

ye aankhen hain to sar kaTa kar rahengi

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ye āñkheñ haiñ to sar kaTā kar raheñgī
kisū se hameñ yaañ laḌā kar raheñgī
agar ye nigāheñ haiñ kam-baḳht apnī
to kuchh ham ko tohmat lagā kar raheñgī
ye saffākiyāñ haiñ to juuñ murġh-e-bismil
hameñ ḳhaak o ḳhuuñ meñ milā kar raheñgī
kiyā ham ne ma.alūm nazroñ se terī
ki nazreñ tarī ham ko khā kar raheñgī
ye aa.eñ haiñ to ek din āsmāñ ko
jalā kar khapā kar uḌā kar raheñgī
agar gardisheñ āsmāñ kī yahī haiñ
to ham ko bhī gardish meñ lā kar raheñgī
ye āñkheñ haiñ to ek din 'mus.hafī' ko
nigāhoñ ke andar fanā kar raheñgī
Top Urdushayar.com