Mushafi Ghulam Hamdani

gar ho tamancha-band wo rashk-e-firangiyan

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
gar ho tamancha-band vo rashk-e-firañgiyāñ
bāñke muġhal bache na kareñ ḳhāna-jañgiyāñ
shoḳhī-mizāj us ke se ab tak ga.ī nahīñ
vaise hī bāñkpan haiñ vahī ġhola-dañgiyāñ
bulbul ke ashk-e-surḳh ne ye kyā ġhazab kiyā
jo tīliyāñ qafas kī sabhī ḳhuuñ meñ rañgiyāñ
gardūñ agarche din ko ġhazāl-e-siyāh hai
par shab ko mere saath kare hai palañgiyāñ
dekhā na hogā vo kabhī 'bezan' ne chaah meñ
jo din mujhe dikhātī haiñ qismat kī tañgiyāñ
aariz pe tere joshash-e-ḳhatt-e-siyāh hai
yā rome par chaḌh aa.ī hai ye fauj-e-zañgiyāñ
kyā jaane kis se bigḌī hai dariyā meñ 'mus.hafī'
lahroñ ke hāthoñ meñ haiñ jo talvāreñ nañgiyāñ
Top Urdushayar.com