Mushafi Ghulam Hamdani

har roz hamein ghar se sahra ko nikal jaana

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
har roz hameñ ghar se sahrā ko nikal jaanā
khetoñ kā maza lenā jañgal ko nikal jaanā
jī kyuuñ na bhalā un kī phir bhauñ pe lage apnā
ik vus.at-e-mashrab ke hai saath ye vīrānā
sat.h pe zamīñ kī hai tā-hadd-e-nazar sabza
kyā sair kā aalam hai apnā hai na begānā
ham ishq-e-haqīqī ke ye rañg samajhte haiñ
ne lailā na majnūñ hai ne sham.a na parvānā
jis husn ke jalve haiñ aarif kī nigāhoñ meñ
vo husn banāve hai ka.abe ko sanam-ḳhānā
dīvāna-e-shahrī to dīvār kā saaya le
saa.e meñ muġhīlāñ ke baiThegā ye dīvānā
ġhurbat ke bayābāñ meñ hai 'mus.hafī' āvārā
ai ḳhizr-e-ḳhajista pe Tuk raah tū batlānā
Top Urdushayar.com