dilbar kī tamannā-e-bar-o-dosh meñ mar jaa.e
kyā yūñhī koī hasrat-e-āġhosh meñ mar jaa.e
qabr us kī pe lāzim hai ḳhum-e-mai kā chaḌhānā
jo mast ki ishq-e-but-e-mai-nosh meñ mar jaa.e
hai tarfa aziyyat koī kis tarah ḳhudāyā
yād-e-sanam-e-va.ada-farāmosh meñ mar jaa.e
sargoshī kī ruḳhsat na kabhī ġhair ko denā
gar vo havas-e-zulf o banā-gosh meñ mar jaa.e
gar ġhuncha-e-mahjūb tirī vaz.a ko dekhe
andāz-e-hayā-e-lab-e-ḳhāmosh meñ mar jaa.e
allāh-re burqa tirā aur us ke ye rauzan
dekhe jo chhupā yuuñ tujhe rū-posh meñ mar jaa.e
kyā fā.eda phūloñ kī chhaḌī us pe lagānā
ai gul jo tirī ek hī pā-posh meñ mar jaa.e
yā-rab na vo din us ke tū āshiq ko dikhānā
ma.ashūq ke aate hī jo āġhosh meñ mar jaa.e
aatā hai mujhe 'mus.hafī' dil apne pe ronā
afsos hai yuuñ ġhash se vo aa hosh meñ mar jaa.e