chhuriyāñ chalīñ shab dil o jigar par
la.anat hai is āh-e-be-asar par
bāloñ ne tire balā dikhā dī
jab khul ke vo aa rahī kamar par
naame ko mire chhupā rakhegā
thā ye to gumāñ na nāma-bar par
phirte haiñ jharokoñ ke tale shaah
us kū meñ umīd-e-yak-nazar par
kyā jaagā hai ye bhī hijr kī shab
zardī sī hai kyuuñ ruḳh-e-qamar par
phir ġhairat-e-ishq ne biThā.e
darbāñ shadīd us ke dar par
rahtī haiñ ba-vaqt-e-girya aksar
do uñgliyāñ apnī chashm-e-tar par
hai ishq suḳhan kā 'mus.hafī' ko
maa.il nahīñ itnā sīm-o-zar par