Mushafi Ghulam Hamdani

ki aah humne lekin usne idhar na dekha

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

aah ham ne lekin us ne idhar na dekhā

is aah meñ to ham ne kuchh bhī asar na dekhā

kyā kyā bahāreñ aa.iiñ kyā kyā daraḳht phūle

naḳhl-e-duā ko lekin maiñ bārvar na dekhā

hargiz huā na yaaro vo shoḳh yaar apnā

ziiñ pesh varna ham ne kyā kyā ki kar na dekhā

rahte haiñ kyā bhalā vaañ āfat-zade saare

us kūche meñ kisī ābād ghar na dekhā

pahuñchā galī tak us ke aage khaḌā rahā maiñ

aage qadam ke rakhte phir nāma-bar na dekhā

do do pahar tak us ke aage khaḌā rahā maiñ

par us ne zid ke maare bhar kar nazar na dekhā

kyā fā.eda rakkhe hai bas ab zyāda mat ro

ronā tirā kisī ne ai chashm-e-tar na dekhā

kal yaar galī meñ DhūñDā jo 'mus.hafī' ko

ik laash to paḌī thī par us sar na dekhā

Top Urdushayar.com