maslaḳh-e-ishq meñ khiñchtī hai ḳhush-iqbāl kī khaal
bheḌ bakrī se hai kam-qadr bad-a.amāl kī khaal
jis kī bose ke tasavvur se chhile gaal kī khaal
taab kyā laave araq poñchhte rumāl kī khaal
naqsh us kā bhī kiyā daur-e-falak ne bātil
thī jo kaave ke alam se bañdhī iqbāl kī khaal
nahīñ qassāb-e-ajal se koī be-ġham hargiz
postīñ chhīne ye mun.im kī to kañgāl kī khaal
tan-dahī jab na kareñ kaam meñ ustād ke ye
qumchiyoñ se na udheḌe vo phir atfāl kī khaal
band ruumī hai samor us ke pa kaam āñ-rozoñ
dekhne meñ kabhī aa.ī na thī is jaal kī khaal
bad-gumānī na ho kyuuñ tab ke ga.e par afzūñ
dekh ukhḌe lab-e-ma.ashūq ke tabḳhāl kī khaal
mālik-ul-mulk nasārā hue kalkatte ke
ye to niklī ajab ik vaz.a kī janjāl kī khaal
jhurriyāñ kyuuñ na paḌeñ umr-e-fuzūñ meñ muñh par
tan pe jab laa.e shikan pīr-e-kuhan-sāl kī khaal
shams-tabrez ne murde ko kiyā thā zinda
shar.a ne khīñchī abas aise ḳhush-a.amāl kī khaal
kaam az-bas-ki zamāne kā huā hai bar-aks
chor khiñchvā.e hai is ahd meñ kotvāl kī khaal
nafas-e-garm se letā hai vo iksīr banā
dhoñknī dam kī hai shā.er ke zar-o-māl kī khaal
itne be-kār nahīñ jānvar-e-ābī bhī
dastānoñ ke to kaam aatī hai ghaḌiyāl kī khaal
fikr meñ mū-e-kamar kī tire hairān rahe
vahī daqqāq jo khīñche hai sadā baal kī khaal
itnā maqdūr mujhe diijo tū ai mehdī-e-dīñ
maare koḌoñ ke uḌā duuñ ḳhar-e-dajjāl kī khaal
dāġh-e-dil chhin gayā yuuñ sozan-e-mizhgāñ se tirī
jis tarah hove mushabbak kisī ġhirbāl kī khaal
nahīñ be-vaj.h giraftārī-e-darvesh is meñ
aahū o sher kī hotī hai ajab haal kī khaal
jis ke har daane se ik qatra-e-ḳhūñ Tapke hai
hai mañDhī myaan pe qātil ke ajab haal kī khaal
tan ko piirī meñ riyāzat se dabāġhī kar duuñ
'mus.hafī' charse kā charsā hai ye aur khaal kī khaal