Mushafi Ghulam Hamdani

tarah ole ki jo KHilqat mein hum aabi hote

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tarah ole kī jo ḳhilqat meñ ham aabī hote
apne hī vāste buniyād-e-ḳharābī hote
vo jo sote haiñ farāġhat se unhoñ ke siine
kaash yak-shab hadaf-e-tīr-e-shahābī hote
mai na piite kabhī gulzār meñ ham yaar baġhair
phuul shabbū ke jo yak-dast gulābī hote
dil se gard-e-ġham-e-kaunain to dhoī jaatī
kaash ham kushta-e-shamshīr-e-do-nābī hote
gar samajhte vo kabhī ma.anī-e-matn-e-qur.āñ
chehre sharrāh ke hargiz na kitābī hote
umr ke faut kā ham marsiya paḌhte jo kabhū
aan kar ḳhizr o masīh apne javābī hote
apnī qismat meñ to mahrūmī-e-jāved thī aah
varna ham shefta-e-rū-e-naqābī hote
rū-kashī karne ko ham bahr se jaate majnūñ
aable pā-e-junūñ ke jo habābī hote
ātish-e-dil hī farozāñ na huī varna hameñ
alif-e-teġh-e-butāñ sīḳh-kabābī hote
ham ko dushvār thā phir rū-e-zamīñ par rahnā
kaukab-e-baḳht hamāre jo shahābī hote
kū-e-ushshāq se guzrā na vo kāfir varna
log raste ke ba-taqlīd sharābī hote
maah hī bas hai hameñ go ki na hove ḳhurshīd
murda kyuuñ DhūñDte firnī kī rakābī hote
nīm-rañg us kī hinā dekh na marte gar ham
phuul turbat ke hamāre na gulābī hote
'mus.hafī' naala ḳhamoshī se kiyā maiñ ne badal
tā-kujā tār-e-nafas tār-e-rabābī hote
Top Urdushayar.com