Seemab Sultanpuri

aangan se hi KHushi ke wo lamhe palaT gae

Seemab Sultanpuri

Delhi, India

āñgan se hī ḳhushī ke vo lamhe palaT ga.e
sahrā-e-dil se barse baġhair abr chhaT ga.e
rishtoñ kā ik hujūm thā kahne ko ās-pās
jab vaqt aa paḌā to ta.alluq simaT ga.e
ik samt tum khaḌe the zamāna thā ek samt
ham tum se mil ga.e to zamāne se kaT ga.e
rasm-o-rah-e-jahāñ kā to thā dā.era vasī.a
apnī hadoñ meñ aap hī ham log baT ga.e
hamdardiyoñ kī bhiiḌ sahar se thī saath saath
jab dhuup sar pe aa.ī to saa.e simaT ga.e
bedāriyoñ ke saath thā hañgāma-e-hayāt
niiñd aa ga.ī to saare masā.il nipaT ga.e
is inqalāb-e-daur-e-taraqqī ke āfrīñ
majma.a baḌā huā hai to insān ghaT ga.e
Top Urdushayar.com