vahī rāteñ aa.eñ vahī zāriyāñ
vahī phir sahar tak kī bedāriyāñ
parī huur insāñ kisī meñ nahīñ
jo dekhī haiñ tujh meñ adā-dāriyāñ
maiñ kāfir huuñ par dekh saktā nahīñ
kamar se tirī rabt-e-zunnāriyāñ
na the daaġh siine ke itne ghane
ye haiñ dast-e-qudrat kī gul-kāriyāñ
ham ik roz jī se guzar jā.eñge
raheñ yuuñ hī gar nit kī be-zāriyāñ
bahāreñ kahāñ abr-e-gulnār kī
kahāñ merī mizhgāñ kī ḳhūñ-bāriyāñ
na sajdoñ se hāsil huā vasl-e-yār
maiñ ka.abe meñ bhī Takkareñ māriyāñ
mavāqīs jis dam to sābit huiiñ
sivā ishq ke kitnī bīmāriyāñ
tū kaisī balā meñ phañsā 'mus.hafī'
huiiñ kyā divāne vo hoshyāriyāñ