Mushafi Ghulam Hamdani

KHush-talai mein shams o qamar donon ek hain

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ḳhush-tāla.ī meñ shams o qamar donoñ ek haiñ
din raat kā to farq hai par donoñ ek haiñ
ḳhvāhī meñ ro.uuñ laḳht-e-jigar ḳhvāh ashk sirf
āñkhoñ meñ merī la.al-o-gohar donoñ ek haiñ
dījūr meñ kise hai sapīd o siyah kā farq
zindāniyoñ ko shaam o sahar donoñ ek haiñ
kahne ko garche haath judā haiñ mire vale
hone ko us kā tauq o kamar donoñ ek haiñ
ḳhvāhī tū chashm-e-chup se dar aa ḳhvāh raast hai
aane ko ghar meñ dil ke ye dar donoñ ek haiñ
jo qulzum-e-fanā kā musāfir huā use
bād-e-murād o mauj-e-ḳhatar donoñ ek haiñ
maiñ jal rahā huuñ un ke to hāthoñ se kuchh na pūchh
ai 'mus.hafī' ye dīda-e-tar donoñ ek haiñ
Top Urdushayar.com