aise Dare haiñ kis kī nigāh-e-ġhazab se ham
bad-ḳhvāb ho ga.e haiñ jo do chaar shab se ham
kab kāmyāb-e-bosa hue us ke lab se ham
sharminda hī rahe dil-e-matlab-matlab se ham
bosa na le sake kaf-e-pā kā adab se ham
kāTeñ haiñ is liye kaf-e-afsos shab se ham
saudā-gar-e-safā-e-dil-e-be-ġhubār haiñ
ajnās-e-shīsha laa.e haiñ shahr-e-halab se ham
ye roz DhūñDh laa.e hai ik ḳhūb-rū nayā
shākī haiñ apne hī dil-e-āfat-talab se ham
kashtī hamārī bahr kī hai māñjdhār meñ
nikle haiñ kab kashākash-e-lutf-o-ġhazab se ham
tarz-e-ḳhirām-e-nāz kī be-etidāliyāñ
dekheñ haiñ aur kuchh nahīñ kahte adab se ham
burqe meñ ho ki parda-e-chādar meñ ḳhūb-rū
pahchānte haiñ vaz.a se shoḳhī se chhab se ham
shaġhl-e-sharāb o shīsha o sāqī-e-naġhma-sanj
taa.ib hue haiñ ālam-e-pīrī meñ sab se ham
be-lutf zindagī ke haiñ din aa bhī ai ajal
tere hī intizār meñ baiThe haiñ kab se ham
fan itnā kam kyā hai ki in rozoñ 'mus.hafī'
dil meñ ik uns rakhte haiñ sher-e-arab se ham