maḳhlūq huuñ yā ḳhāliq-e-maḳhlūq-numā huuñ
ma.alūm nahīñ mujh ko ki maiñ kaun huuñ kyā huuñ
huuñ shāhid-e-tanzīh ke ruḳhsār kā parda
yā ḳhud hī mushāhid huuñ ki parde meñ chhupā huuñ
hai mujh se garebān-e-gul-e-sub.h mo.attar
maiñ itr-e-nasīm-e-chaman o bād-e-sabā huuñ
gosh-e-shunvā ho to mire ramz ko samjhe
haq ye hai ki maiñ sāz-e-haqīqat kī navā huuñ
hastī ko mirī hastī-e-ālam na samajhnā
huuñ hast to par hastī-e-ālam se judā huuñ
huuñ sīna-e-ushshāq meñ soz-e-jigar-o-dil
aur dīda-e-māshūqāñ meñ kyā nāz-o-adā huuñ
ye kyā hai ki mujh par mirā uqda nahīñ khultā
har-chand ki ḳhud uqda o ḳhud uqda-kushā huuñ
ai 'mus.hafī' shāneñ haiñ mirī jalvagarī meñ
har rañg meñ maiñ maz.har-e-āsār-e-ḳhudā huuñ