Mushafi Ghulam Hamdani

ek to baiThe ho dil ko mere kho aur suno

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ek to baiThe ho dil ko mire kho aur suno
tis pe kahte ho ''diyā hai tujhe'' lo aur suno
mai piyo aap jo deveñ mujhe talchhaT ahbāb
un se kahte ho use ḳhaak na do aur suno
qissa apnā to maiñ sab tum se kahā ai yaaro
chupke kyuuñ baiThe ho kuchh tum bhī kaho aur suno
chuTkiyāñ lete ho jab paas mire baiTho ho
aap ne zor nikālī hai ye ḳhū aur suno
sitam-e-turfa to ye hai ki mujhe rotā dekh
hañs ke kahte ho zarā aur bhī ro aur suno
abhī daftar haiñ baġhal meñ mirī ai ham-nafaso
ek hī baat meñ itnā na ruko aur suno
'mus.hafī' Dar nahīñ mere ta.iiñ rusvā.ī se
baat apnī mujhe kahnī use go aur suno
Top Urdushayar.com