Mushafi Ghulam Hamdani

kabhi wafaen kabhi bewafaiyan dekhin

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kabhī vafā.eñ kabhī bevafā.iyāñ dekhīñ
maiñ un butoñ kī ġharaz āshnā.iyāñ dekhīñ
ham uTh chale jo kabhī us galī ko vahshat meñ
to us ghaḌī na kueñ aur na khā.iyāñ dekhīñ
zahe nasīb haiñ us ke ki jis ne vasl kī shab
gale meñ apne vo nāzuk kalā.iyāñ dekhīñ
ye satah-e-ḳhāk hai kyā razm-gāh kā maidān
ki jis pe hotī huī nit laḌā.iyāñ dekhīñ
galī meñ us kī ye bāzār-e-marg garm huā
ki daad ḳhvāhoñ kī vaañ chārpā.iyāñ dekhīñ
rakhā na ḳhat kabhī aariz pe us parī-rū ne
ba-rañg-e-ā.īna nit vaañ safā.iyāñ dekhīñ
hunūz jiite rahe haiñ to saḳht-jānī se
vagarna ham ne bhī kyā kyā judā.iyāñ dekhīñ
na haath aa.ī mire 'mus.hafī' vo zulf-e-rasā
maiñ tāle.oñ kī bhī apne rasā.iyāñ dekhīñ
Top Urdushayar.com