Mushafi Ghulam Hamdani

kapDe badal ke aae the aag mujhe laga gae

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kapḌe badal ke aa.e the aag mujhe lagā ga.e
apne libās-e-surḳh kī mujh ko bhaḌak dikhā ga.e
baiThe adā se ek pal naaz se uTThe phir sambhal
pahlū churā ga.e nikal jī hī mirā jalā ga.e
rakhte hī dar se pā barūñ le ga.e sabr aur sukūñ
fitna-e-ḳhufta thā junūñ phir vo ise jagā ga.e
mujh ko to kaam kuchh na thā go ki vo the parī-laqā
bār-e-ḳhudā ye kyā huā kyuuñ vo mujhe satā ga.e
hai ye ajab tarah kī baat kyūñki na maliye apne haath
dil pe hamāre vo to raat chaukī sī ik biThā ga.e
sehr kiyā ki ToTkā aa.ī ye vaa.e kyā balā
haa.e ye jī kidhar chalā zor-e-adā dikhā ga.e
garche na the kuchh itne garm lek dikhā adā-e-sharm
dil ko lage jo narm narm saḳht qalaq lagā ga.e
āveñge phir bhī 'mus.hafī' dekhne mere ghar kabhī
aTkā hai ab to un se jī garche vo muñh chhupā ga.e
Top Urdushayar.com