Seemab Sultanpuri

mehman ko ghar mein aae zamana guzar gaya

Seemab Sultanpuri

Delhi, India

mehmāñ ko ghar meñ aa.e zamāna guzar gayā
dil kā diyā bujhā.e zamāna guzar gayā
āñkhoñ meñ ashk aa.e haiñ sun kar hañsī kā naam
lekin hañsī ko aa.e zamāna guzar gayā
ai zindagī utaar bhī is baar dosh ko
mayyat mirī uThā.e zamāna guzar gayā
kyā jaane kyā chhupā.e thā dāman kī oT meñ
mujh se nazar bachā.e zamāna guzar gayā
kahtā rahā huuñ dil se ki aa.egī phir bahār
is aarzū meñ haa.e zamāna guzar gayā
ab bhī fareb detī hai āñkhoñ kī raushnī
sūrat tirī bhulā.e zamāna guzar gayā
'sīmāb' maiñ huuñ aur musalsal ġham-e-hayāt
ḳhushiyoñ ko muñh dikhā.e zamāna guzar gayā
Top Urdushayar.com