aah dekhī thī maiñ jis ghar meñ parī kī sūrat
ab nazar aa.e hai vaañ nauhagarī kī sūrat
na vo andāz na āvāz na ishva na adā
yak-ba-yak miT ga.ī yuuñ jalvagarī kī sūrat
ab ḳhayāl us kā vahāñ āñkhoñ meñ phirtā hai mirī
koī phirtā thā jahāñ kabk-e-darī kī sūrat
us ke jaane se mirā dil hai mire siine meñ
dam kā mehmān charāġh-e-saharī kī sūrat
ne ḳhabar us ko mirī pahuñche hai ne us kī mujhe
bañdh ga.ī hai ajab ik be-ḳhabarī kī sūrat
naam luuñ kis kā ki ik gul ke liye jaate haiñ
ashk āñkhoñ se aqīq-e-jigarī kī sūrat
'mus.hafī' hai yahī ab soch ki dekheñ to falak
phir bhī dikhlā.egā yār-e-safarī kī sūrat