avval to tire kūche meñ aanā nahīñ miltā
aa.uuñ to kahīñ terā Thikānā nahīñ miltā
milnā jo mirā chhoḌ diyā tū ne to mujh se
ḳhātir se tirī saarā zamānā nahīñ miltā
aave to bahāne se chalā shab mire ghar ko
aisā koī kyā tujh ko bahānā nahīñ miltā
kyā fā.eda gar hirs kare zar kī tū nādāñ
kuchh hirs se qārūñ kā ḳhazānā nahīñ miltā
bhūle se bhī us ne na kahā yuuñ mire haq meñ
kyā ho gayā jo ab vo divānā nahīñ miltā
phir baiThne kā mujh ko maza hī nahīñ uThtā
jab tak ki tire shāne se shānā nahīñ miltā
ai 'mus.hafī' ustād-e-fan-e-reḳhta-goī
tujh sā koī aalam ko maiñ chhānā nahīñ miltā