bulbulo bāġhbāñ ko kyuuñ chheḌā
tum ne sāz-e-fuġhāñ ko kyuuñ chheḌā
mujh ko us turk se ye shikva hai
dil pe rakh kar sināñ ko kyuuñ chheḌā
na bulā laa.e mujh sā dīvāna
sañgsār-e-jahāñ ko kyuuñ chheḌā
ai humā! aur khāne the murde
mere hī ustuḳhāñ ko kyuuñ chheḌā
bahla nādim ho jī meñ kahtā hai
maiñ ne is momiyāñ ko kyuuñ chheḌā
phir gayā mujh se jo mizāj us kā
gardish-e-āsmāñ ko kyuuñ chheḌā
duur se us ne merī sūrat dekh
tosan-e-ḳhush-ināñ ko kyuuñ chheḌā
dāstāñ apnī mujh ko kahnī thī
qissa-e-īn-o-āñ ko kyuuñ chheḌā
qissa-ḳhvāñ aur laakh qisse the
tū ne zikr-e-butāñ ko kyuuñ chheḌā
jis se kal mujh ko aa ga.ī thī ġhashī
phir usī dāstāñ ko kyuuñ chheḌā
'mus.hafī' ghar ke ghar jalā degā
aise ātish-zabāñ ko kyuuñ chheḌā