ahl-e-dil gar jahāñ se uThtā hai
ik jahāñ jism o jaañ se uThtā hai
chalo ai ham-raho ġhanīmat hai
jo qadam is jahāñ se uThtā hai
jama.a rakhte nahīñ, nahīñ ma.alūm
ḳharch apnā kahāñ se uThtā hai
gar naqāb us ke muñh se uTThī nahīñ
shor kyuuñ kārvāñ se uThtā hai
vaa.e be-tāqatī o be-sabrī
parda jab darmiyāñ se uThtā hai
phir vahīñ gir paḌe hai parvāna
gar Tuk ik sham.a-dāñ se uThtā hai
qissa-e-'mus.hafī' sunā kar yaar
ishq is dāstāñ se uThtā hai