is ishq o junūñ meñ na garebān kā Dar hai
ye ishq vo hai jis meñ hameñ jaan kā Dar hai
āsāñ nahīñ dariyā-e-mohabbat se guzarnā
yaañ nuuh kī kashtī ko bhī tūfān kā Dar hai
bāzār se guzre hai vo be-parda ki us ko
hindū kā na ḳhatra na musalmān kā Dar hai
dil ḳhuun maiñ taḌpe hai tire tīr-e-nigah se
par us pe bhī zālim tire paikān kā Dar hai
darbān bhī yaañ kachche ghaḌe paanī bhare hai
vo haiñ hamīñ yaañ jin ko ki darbān kā Dar hai
vo shoḳh kahīñ vaqt-e-namāz aan na nikle
ai 'mus.hafī' mujh ko usī shaitān kā Dar hai