phir aa gayā zabāñ pe vahī naam kyā kareñ
tū hī batā ai gardish-e-ayyām kyā kareñ
ik pal ko lab pe aa.ī hañsī phir palaT ga.ī
yaad aa gayā ho jaise koī kaam kyā kareñ
har aarzū ke hoñT zamāne ne sī diye
bujhne lagā charāġh sar-e-shām kyā kareñ
Dar hai ki tere haath se sāġhar na chhīn leñ
ham tishna-lab ai sāqī-e-gulfām kyā kareñ
aao musāfirān-e-adam aao ghar chaleñ
manzil hamārī duur hai ārām kyā kareñ
ruḳh par kalī ke jab paḌī tharrā ga.ī nazar
dekhā hai har bahār kā anjām kyā kareñ
'sīmāb' ham ko chain milegā na umr-bhar
ham to haiñ iztirāb meñ badnām kyā kareñ