us galī meñ jo ham ko laa.e qadam
paañv paḌte hī laḌkhaḌā.e qadam
vaa.e qismat maiñ rah gayā pīchhe
aur rafīqoñ ne jald uThā.e qadam
har qadam par hai laash kushte kī
ab kahāñ us galī meñ jaa.e qadam
tere kūche se aa.e jo un ke
apnī āñkhoñ se maiñ lagā.e qadam
ashk-e-ḳhūnī se mere us kū maiñ
naḳhl-e-marjāñ haiñ naqsh-hā-e-qadam
kārvān-e-adam kidhar ko gayā
mutlaq aatī nahīñ sadā-e-qadam
peshtar manzil-e-fanā se nahīñ
vādī-e-mā-o-man meñ jaa.e qadam
'mus.hafī' sālikān-e-ishq kā hai
aisī manzil pe intihā-e-qadam