Mushafi Ghulam Hamdani

kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hain

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kījiye zulm sazā-vār-e-jafā ham hī haiñ
khīñchiye teġh ki muddat se fidā ham hī haiñ
tafta-dil soḳhta-jāñ chāk-jigar ḳhāk-basar
kyā kaheñ masdar-e-sad-gūna-balā ham hī haiñ
nahīñ mauqūf duā apnī to kuchh ba.ad-e-namāz
baiThte uThte jo māñgeñ haiñ duā ham hī haiñ
ye bhī koī tuur se Tuk jalva dikhā chhup jaanā
aur bhī log haiñ tarsāne ko kyā ham hī haiñ
vo jo kahlāte the zīñ-pesh tire yāroñ meñ
jān-e-man ab to hameñ bhuul gayā ham hī haiñ
na barahman kī mashīḳhat hai na ruhbān kī qadr
ab to is mai-kade meñ nām-e-ḳhudā ham hī haiñ
ishva-o-nāz tirā ham se yahī kahtā hai
nahīñ karte jo kabhī tiir ḳhatā ham hī haiñ
be-navāoñ kī tarah aa ke tire kūche meñ
vo jo kar jaate haiñ ik roz sadā ham hī haiñ
aadhī raat aa.e tire paas ye kis kā hai jigar
chauñk mat itnā ki ai hosh-rubā ham hī haiñ
'mus.hafī' Tal ga.e sab mārka-e-ishq ke biich
vo jo Thahre rahe haiñ ek zarā ham hī haiñ
Top Urdushayar.com