Mushafi Ghulam Hamdani

tere munh chhupate hi phir mujhe KHabar apni kuchh na zari rahi

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tire muñh chhupāte hī phir mujhe ḳhabar apnī kuchh na zarī rahī
na firāq thā na visāl thā rahī ik to be-ḳhabarī rahī
tū hamesha ai but-e-mah-laqā rahā mahv apnī hī shakl kā
tire aks-e-husn kī ārasī tire sāmne hī dharī rahī
tire ahd-e-husn meñ yak zamāñ na junūñ se mujh ko milī amaañ
vahī naala aur vahī fuġhāñ vahī mashq-e-jāma-darī rahī
koī hove kyūñke na tañg-dil tire dil meñ ai but-e-sañg-dil
asar aah apnī ne ye kyā ki rahīn-e-be-asarī rahī
na ḳhat aa.e par bhī kamī paḌī tirī shān-e-husn meñ yak zarī
vahī qad kī fitnagarī rahī vahī ruḳh kī jalvagarī rahī
kabhī dil liyā kabhī diiñ liyā kabhī zar liyā kabhī sar liyā
yūñhī apnī muft-dahī rahī vahī us kī muft-barī rahī
na kamāl-e-auj se tū girā kabhī fikr-e-sher meñ 'mus.hafī'
ġhazal aur bhī kahī tū ne gar vahī terī tez-parī rahī
Top Urdushayar.com