barq-e-ruḳhsār-e-yār phir chamkī
is chaman kī bahār phir chamkī
tū ne phir is ko saan par rakkhā
tere ḳhanjar kī dhaar phir chamkī
mere girye se āb-o-tāb aayā
sūrat-e-rozgār phir chamkī
ḳhūn-e-āshiq se vo zah-e-dāman
dam-e-shamshīr vaar phir chamkī
dekhiyo paañv rakh diyā kis ne
aaj kyuuñ nok-e-ḳhār phir chamkī
vo jo ik Tiis sī hai dil meñ mire
rah ke be-iḳhtiyār phir chamkī
'mus.hafī' kī jo tū ne dar-rezī
shā.erī terī yaar phir chamkī