Mushafi Ghulam Hamdani

hun shaiKH mushafi ka main hairan-e-shaeri

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
huuñ shaiḳh mus.hafī kā maiñ hairān-e-shā.erī
allāh muflisī meñ ye kuchh shān-e-shā.erī
rauñdā use tamām mire raḳhsh-e-kilk ne
saudā se bach rahā thā jo maidān-e-shā.erī
maiñ aur le ke sauda namak us meñ bhar diyā
thā us kā kam namak jo namakdān-e-shā.erī
hindostāñ ke gardan-e-ḳhurd-o-buzurg par
hai sach to ye mirā hī hai ehsān-e-shā.erī
pairav haiñ merī tarz ke yaañ chhoTe aur baḌe
mulk-e-suḳhan kā huuñ maiñ sulaimān-e-shā.erī
rahte haiñ īñchā-tānī meñ ab us ke aur yaar
thā haath meñ mire jo garebān-e-shā.erī
rakhtī hai nok-e-ḳhāma-e-jādū-raqam hanūz
mizhgān-e-tar se taaza gulistān-e-shā.erī
mūñdī jo aañkh maiñ ne to chashm-e-zamāna se
chhup jā.egā vūñhī mah-e-tābān-e-shā.erī
maiñ ibtadā-e-umr meñ muddat talak bahut
chhānā hai fārsī kā safāhān-e-shā.erī
ba.ad is ke reḳhte kī bhī rakkhī hai vo binā
hairāñ haiñ jis ke naqsh-e-tarāzān-e-shā.erī
kuchh kuchh kahe haiñ phir arabī meñ jo sher-o-nazm
is meñ bhī ban gayā huuñ maiñ sahbān-e-shā.erī
din raat mere nāḳhun-e-nok-e-qalam meñ haiñ
lākhoñ tarīq o sheva o unvān-e-shā.erī
har sifla kā dahan ye nahīñ hai ki ho sake
mere sivā.e sham-e-shabistān-e-shā.erī
jis roz mere jism se niklegī merī jaañ
ye jāniyo tū aaj ga.ī jān-e-shā.erī
lākhoñ tarāna-sanj hue is ke reza-chīñ
ai 'mus.hafī' mirā hī hai vo ḳhvān-e-shā.erī
Top Urdushayar.com