yā thī havas-e-visāl din raat
yā rahne lagā malāl din raat
bechain rakhe hai mere dil ko
kāfir ye tirā ḳhayāl din raat
rahtā hai mirī zabāñ pe tujh-bin
afsāna-e-zulf-o-ḳhāl din raat
dekhūñ huuñ ba-nuqta-e-tasavvur
milne kī tire hī faal din raat
āñkhoñ meñ phire hai juuñ mah-e-īd
abrū kā tire hilāl din raat
vo said huuñ maiñ rahe hai jis ke
andeshe kā sar pe jaal din raat
āñkhoñ ke tale mirī phire hai
ab tak vahī bol-chāl din raat
jis sabza-e-murġh-zār meñ thā
raqsinda mirā ġhazāl din raat
jaulānī-e-dard-o-ġham se ab yaañ
vo sabza hai pā.emāl din raat
gar tū hī nahīñ to kyuuñ jiyūñ maiñ
hai ziist mujhe vabāl din raat
furqat meñ tirī hai 'mus.hafī' ko
likhnā yahī hasb-e-hāl din raat