havas-parastī o ġhārat-garī kī lat na ga.ī
yazīd mar gayā lekin yazīdiyat na ga.ī
ghirā rahā maiñ ajab kashmakash ke aalam meñ
ki jab talak mire sāñsoñ kī suut kat na ga.ī
ḳhirad kī aag meñ sadiyoñ jale badan lekin
dil-o-dimāġh se bū-e-munāfirat na ga.ī
hayāt o maut ke har inqalāb se guzre
hamāre sar se magar āsmāñ kī chhat na ga.ī
jatan hazār kiye marg-e-nā-gahānī ne
magar hayāt kī hargiz chalat-phirat na ga.ī
tilism-e-lafz-o-ma.ānī meñ qaid huuñ 'shādāb'
tamām umr mire haath se luġhat na ga.ī