is nāznīñ kī bāteñ kyā pyārī pyāriyāñ haiñ
palkeñ haiñ jis kī chhuriyāñ āñkheñ kaTāriyāñ haiñ
is baat par bhalā ham kyūñkar na zahr khāveñ
ham se vahī rukāvaT ġhairoñ se yāriyāñ haiñ
Tuk safha-e-zamīñ ke ḳhāke pe ġhaur kar tū
sān.e.a ne is pe kyā kyā shakleñ utāriyāñ haiñ
dil kī tapish kā apnī aalam hī kuchh judā hai
sīmāb o barq meñ kab ye be-qarāriyāñ haiñ
un mahmaloñ pe aave majnūñ ko kyuuñ na hasrat
jin mahmaloñ ke andar do do svāriyāñ haiñ
jaagā hai raat pyāre tū kis ke ghar jo terī
palkeñ nadīdiyāñ haiñ āñkheñ ḳhumāriyāñ haiñ
naumīd haiñ ba-zāhir go vasl se ham us ke
dil meñ to sau tarah kī ummidvāriyāñ haiñ
kyā pūchhtā hai hamdam ahvāl 'mus.hafī' kā
rāteñ añdheriyāñ aur aḳhtar-shumāriyāñ haiñ