Mushafi Ghulam Hamdani

kuchh apni jo hurmat tujhe manzur ho ai shaiKH

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kuchh apnī jo hurmat tujhe manzūr ho ai shaiḳh
tū bahs na mai-ḳhvāroñ se chal duur ho ai shaiḳh
masjid meñ zarā vaqt-e-sahar dekh to jā kar
shāyad koī us chashm kā maḳhmūr ho ai shaiḳh
sad dāna-e-tasbīh rakhe haath meñ apne
chauñke to jo yak-dāna-e-añgūr ho ai shaiḳh
tū mujh ko kahe ek maiñ sau tujh ko sunā.ūñ
ai kaash ki itnā mujhe maqdūr ho ai shaiḳh
aayā hai vo badmast liye haath meñ shamshīr
majlis se shitābī kahīñ kāfūr ho ai shaiḳh
kartā hai hameñ man.a tū paimāna-kashī se
paimāna tirī umr kā ma.amūr ho ai shaiḳh
albatta kare man.a hameñ ishq-e-butāñ se
tujh sā jo koī aql se ma.azūr ho ai shaiḳh
phir dum hai vo shimla jo huā had se ziyāda
rakh shimla tū shimle kā jo dastūr ho ai shaiḳh
har harf meñ saḳhtī hai tire sañg-e-jafā se
Dartā huuñ na phir shīsha-e-dil chuur ho ai shaiḳh
kyā huur kī bātoñ se lubhāve hai tū mujh ko
hāshā ki mujhe ārzū-e-hūr ho ai shaiḳh
sheḳhī meñ to suntā hī nahīñ baat kisī kī
is dāḌhī par itnā bhī na maġhrūr ho ai shaiḳh
kyuuñ 'mus.hafī' ko itnī tū kartā hai nasīhat
sar chaḌh na bahut us ke jo majbūr ho ai shaiḳh
Top Urdushayar.com