Mushafi Ghulam Hamdani

dekh kar ek jalwe ko tere gir hi paDa be-KHud ho musa

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
dekh kar ik jalve ko tere gir hī paḌā be-ḳhud ho muusā
un āñkhoñ ke sadqe jā.ūñ jo haiñ har-dam mahv-e-tamāshā
zohd-o-vara.a par bhuul na zāhid husn kā munkir ho na divāne
san.āñ se ko le gayā ġhāfil ek adā meñ ishva-e-tarsā
dekh tajallī husn kī tere koh bahe jab ho kar paanī
dīvānā sā bhāgā vohīñ chaak garebāñ kar ke dariyā
kyuuñ na garebāñ phāḌūñ apnā haath aur merā us kā dāman
tāle.a haiñ aa kar ke huā hai dāman-e-yūsuf dast-e-zuleḳhā
roz ke va.ade roz bahāne roz ye kahnā ā.ūñgā kal
fā.eda kyā in bātoñ kā hai ham ne miyāñ bas tum ko dekhā
zulf-e-mo.ambar us ne jo kholī to yuuñ mahfil saarī mahkī
aave chaman se mausam-e-gul meñ bād-e-sabā kā jaise jhoñkā
madh meñ bharā hai jauban ke vo husn se us ke Tapke hai mastī
chāh-e-zaqan hai jām-e-bilorīñ aur ġhabġhab hai shīsha-e-sahbā
niim nigah par dete haiñ dil ko jaano to kuchh le lo sāhab
phir na milegā varna tum ko hargiz aisā sastā saudā
kyuuñ na chhake dil dekh ke us ko jis saaqī kā hove yaaro
dast-e-nigārīñ panja-e-marjāñ sā.ad-e-sīmīñ gardan-e-mīnā
'mus.hafī' kar ke chaak garebāñ chal jañgal ko ai dīvāne
dekh to kyā phūlā hai laala surḳh hai kaisā dāman-e-sahrā
Top Urdushayar.com