kab lag sake jafā ko us kī vafā-e-ālam
hai jis kā har karishma sabr-āzmā-e-ālam
muhtāj phir jahāñ meñ koī nazar na aatā
kartā ḳhudā jo mujh ko hājat-ravā-e-ālam
ham ko to kuchh na sūjhā aave vahī dikhā de
dekhā ho gar kisī ne kuchh yā varā-e-ālam
aalam agar hai hādis to mujh ko tū batā de
kyuuñ ab talak hai vo hī nashv-o-numā-e-ālam
koi kuchh hī samjhe is ko par apnī aañkh meñ to
saath is hudūs ke hai sābit baqā-e-ālam
vo bhī nazar meñ apnī is vaqt jalva-gar hai
aalam jo kuchh ki hogā ba.ad-az fanā-e-ālam
āñkheñ to tujh ko dī haiñ Tuk dekh to sahī tū
hai raast kis ke qad par chaspāñ qabā-e-ālam
aalam meñ aur ham meñ ik-tarfa raftagī hai
aalam fidā hai ham par ham haiñ faidā-e-ālam
ham ibtidā kī pūchheñ phir baiTh kar haqīqat
ham ko koī batā de gar intihā-e-ālam
kyā lutf āshiqī kā ab rah gayā hamārī
yaañ āḳhir-e-javānī vaañ ibtidā-e-ālam
kis ġhuncha-lab kī mujh ko yaad aa ga.ī hai is dam
jo tañg ho gayā hai mujh par fazā-e-ālam
aise se dād-ḳhvāhī mahshar meñ bhī sitam hai
har ek ġhamza jis kā ho ḳhūñ-bahā-e-ālam
kab daad ko kisī kī pahuñchā vo rū-e-dilkash
ham ne to us ko paayā hasrat-fazā-e-ālam
jab ālam-e-hayā se begāna vo nigah thī
paate the tab bhī us ko ham āshnā-e-ālam
haiñ 'mus.hafī' ham ab to mānind hādse ke
dekheñ Tale hai kis din sar se balā-e-ālam