paḌh na ai ham-nashīñ visāl kā sher
jis se rañgīñ ho ḳhatt-o-ḳhāl kā sher
yuuñ talāshī jo chāhe likh jaave
lek mushkil hai bol-chāl kā sher
tuul khīñchā bayān-e-nak-sik ne
maiñ likhā us ke baal baal kā sher
us ke ishq-e-kamar meñ ai yaaro
ham to kahne lage ḳhayāl kā sher
so ḳhayālī bhī aisā jis ke huzūr
gard hai mīrzā-'jalāl' kā sher
'mus.hafī' tere sher-e-dil-kash ko
ab to lagtā nahīñ kamāl kā sher