raat parde se zarā muñh jo kisū kā niklā
sho.ala samjhā thā use maiñ pa bhabhūkā niklā
mahr o mah us kī phaban dekh ke hairān rahe
jab varaq yaar kī tasvīr-e-do-rū kā niklā
ye adā dekh ke kitnoñ kā huā kaam tamām
nīmcha kal jo Tuk us arbada-jū kā niklā
mar ga.ī sarv pe jab ho ke tasadduq qumrī
us se us dam bhī na tauq apne gulū kā niklā
'mus.hafī' ham to ye samjhe the ki hogā koī zaḳhm
tere dil meñ to bahut kaam rafū kā niklā