ātish-e-ġham meñ bas ki jalte haiñ
sham.a saañ ustuḳhvāñ pighalte haiñ
vahī dasht aur vahī garebāñ chaak
jab talak haath paañv chalte haiñ
dekh terī safā-e-sūrat ko
ā.īne muñh se ḳhaak malte haiñ
joshish-e-ashk hai vo āñkhoñ meñ
jaise us se kueñ ubalte haiñ
dekh aariz ko tere gulshan meñ
saikḌoñ rañg gul badalte haiñ
shoḳh-chashmī butāñ kī mujh se na pūchh
ki ye nazroñ meñ dil ko chhalte haiñ
dekhiyo shaiḳh jī kī chaal ko Tuk
ab koī dam meñ ye phisalte haiñ
bin liye kaam dil kā us kū se
'mus.hafī' ham koī nikalte haiñ