sairāb āb-e-jū se qadah aur qadah se ham
sar-ḳhush guloñ kī bū se qadah aur qadah se ham
mukhḌe pe hai gulāl jo us mast-e-nāz ke
rañgīñ hai aks-e-rū se qadah aur qadah se ham
pīr-e-muġhāñ karam hai jo sairāb ho sake
tere nam-e-vazū se qadah aur qadah se ham
bazm-e-sharāb raqs kī majlis se kam nahīñ
nāche hai parmalū se qadah aur qadah se ham
halqe nahīñ ye zulf meñ saaqī kī balki hai
vābasta mū-ba-mū se qadah aur qadah se ham
hurmat likhī sharāb kī yaañ tak ki khiñch rahā
zāhid kī guftugū se qadah aur qadah se ham
shīsha jo phuuT jaa.e to phūTe vale na ho
yā-rab judā subū se qadah aur qadah se ham
vo tafraqa paḌā ki bahut duur rah gayā
dast-e-piyāla-jū se qadah aur qadah se ham
ai 'mus.hafī' hameñ to gavārā nahīñ ye niish
nosh us ke lab se chūse qadah aur qadah se ham