apnā rafīq-o-āshnā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
rañj-o-mehan meñ ġham-zadā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
pūchhā jo maiñ hakīm se illat-e-kun-fakāñ hai kaun
soch ke us ne ye kahā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
ka.abe kā shab ko maiñ jo jā halqa-e-dar hilā diyā
aa.ī sadā ye ''andar aa ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ''
aarif agar ba-chashm-e-ġhaur ā.īna-e-jahāñ ke biich
dekhe to samjhe rūnumā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ
garche jahāñ hai mā-sivā zaat ke us kī 'mus.hafī'
sochiye phir to mā-sivā ġhair-e-ḳhudā koī nahīñ