jiitā rahūñ ki hijr meñ mar jā.ūñ kyā karūñ
tū hī batā mujhe maiñ kidhar jā.ūñ kyā karūñ
hai iztirāb-e-dil se nipaT arsa mujh pe tañg
aaj us talak ba-dīda-e-tar jā.ūñ kyā karūñ
hairān huuñ ki kyūñke ye qissa chuke mirā
sar rakh ke teġh hī pe guzar jā.ūñ kyā karūñ
batlā de tū hī vā-shud-e-dil kā mujhe ilaaj
gulshan meñ ai nasīm-e-sahar jā.ūñ kyā karūñ
baiThā rahūñ kahāñ talak us dar pe 'mus.hafī'
ab aa.ī shaam hone ko ghar jā.ūñ kyā karūñ