Mushafi Ghulam Hamdani

tur par apne kisi din bhi KHur-o-KHwab hai yan

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
tuur par apne kisī din bhī ḳhur-o-ḳhvāb hai yaañ
zindagānī kā bhalā kaun sā asbāb hai yaañ
chāh-e-sīmāb se sīmāb jo joshāñ hai hanūz
maiñ samajhtā huuñ ki madfūñ koī betāb hai yaañ
ḳham-e-abru kī tire kyūñke na tārīf karūñ
is se behtar bhī koī teġh-e-siyah-tāb hai yaañ
maqtal-e-ishq kī bhī kyā hī hai jā-e-khaTkī
ki na sar aur na sajda hai na mehrāb hai yaañ
merī turbat ke to āñgan meñ na Thahrā ik dam
ye tire jī meñ na aayā shab-e-mahtāb hai yaañ
kushtagāñ ko tirī shamshīr yahī kahtī hai
kījiye is pe qanā.at to dam-e-āb hai yaañ
is ko bhī gar na falak dekh sake char vaale
aur to kyā hai pareshānī kā asbāb hai yaañ
e'tibārāt haiñ ye hastī-e-mauhūmī ke
fil-haqīqat to koī ḳhaañ hai na navvāb hai yaañ
ḳhaak turbat kī mirī dekh chamaktī ahbāb
jī meñ kahte haiñ magar ma.adan-e-sīmāb hai yaañ
kyā ḳhat-e-āshiq-o-ma.ashūq ko koī samjhe
kuchh kināyat sī hai ādāb na alqāb hai yaañ
'mus.hafī' aap hī ham qatl haiñ apne hāthoñ
varna kiiñ ḳhvāh tū rustam hai na sohrāb hai yaañ
Top Urdushayar.com