ba.ad-e-murdan kī bhī tadbīr kiye jaatā huuñ
apnī qabr aap hī ta.amīr kiye jaatā huuñ
chain mutlaq nahīñ paḌtā shab-e-hijrāñ meñ mujhe
sub.h tak nāla-e-shab-gīr kiye jaatā huuñ
afv par afv kī rezish hai udhar se har dam
aur maiñ taqsīr pe taqsīr kiye jaatā huuñ
us ke kūche meñ jo dekhegā karegā mujhe yaad
apnī sūrat kī maiñ tasvīr kiye jaatā huuñ
uTh ke tā-kūcha-e-lailā se na jaave ye kahīñ
paañv meñ qais ke zanjīr kiye jaatā huuñ
koī le jaa.e ise yā ki na le jaa.e pa maiñ
nāma-e-shauq kī tahrīr kiye jaatā huuñ
us kā kyā jurm mire hosh ga.e haiñ kaise
jo alam ġhair pe shamshīr kiye jaatā huuñ
pesh jaatī nahīñ yuuñ bhī mirī us se har-chand
sharr-o-makr-o-fan-o-tazvīr kiye jaatā huuñ
naqsh-e-hub chaal se nikal hai mirī is ḳhātir
maiñ parī-zādoñ kī tasḳhīr kiye jaatā huuñ
'mus.hafī' yaar tū suntā nahīñ aur vahshī sā
haal kī apne maiñ taqrīr kiye jaatā huuñ